zabt ki kon si manzil thi
kis muqam pe aa k haary hain
itna to tumhain maloom hi hy
tere naam pe aa k haary hain

kabi khud pr jbr kiya hum ne
kabi khud ko yon be-mol kiya
hum subho k lotny waly thy
ek sham pe aa k haary hain
 
ek dard musalsal hota hy
ek barish andar hoti hy
k heeron jese log yahan
ilzam pe aa k haary hain

kab jeet ka dava hum ne kia
ye azal-abad ka qissa hy 
hum be-khabri k aalam me
anjam pe aa k haary hain