Mosam-e-Hijr k Lamhat Koi Kya Jany
Kya Guzarti hy Mere Sath
Koi Kya Jany

Dooriyon me b Tere Sath Marasim hain Wohi
Rooz hoti hai Mulaqat
Koi Kya Jany

Log Hansti hoi Ankhon pe Yaqeen rakhty hain
Mere Anso
Mere Jazbaat
Koi Kya Jany

Ek Tu hai Jisy Maloom hain Sari Batain
Shab-e-Hijran Mere Halaat
Koi Kya Jany

Koi Kya Jany k Khamoshiyan Kya Kehti hain
Meri Ankhon k Sawalat
KOI KYA JANY