wo tasvvur jo akele me hasata tha kabi
wo ek shakhs
khayalon me jo aata tha kabi

jis k aany se hawaon se mehek uth'ti thi
wo jo chalta hua
saba ko jalata tha kabi

jis ki hansi ne gulon ko b saleeqa bakhsha
jo tehelta hua
lehron ko sikhata tha kabi

saary taaron ki chamak mand kye deta tha
wo jo palkon ko
nazaakat se utha'ta tha kabi

ab k dushwar hai Q uska tasvvur krna
jis ka chehra
meri yaadon ko sajata tha kabi