main phr wapis na aaon ga
main tujh ko choor jaon ga
ek din itna sataaon ga
... main tujh ko choor jaon ga

Tera shikwa bajaa jana
bohat uljhaata rehta hon
teri uljhan barhaon ga
main tujh ko choor jaon ga

Haan main waqif hon ache se
k mujh bin tu adhoora hy
Main saabit kr dikhaon ga
main tujh ko choor jaon ga

Mera lehja hy pholon sa
na meri batain hain sheerini
tujhe na or sataon ga
main tujh ko choor jaon ga

main himmat hara nahi Raja
Main koshish krta rehta hon
Ya main usko apnaon ga
Ya dunia choor jaon ga