Hawa k hathon ki
meherbaani se dar gaye hain
Ye phol khushboo ki
raa-e-gani se dar gaye hain

Humain b rukhsat ki
rasam kuch tu nibhana thi
Tumhari ankhon me
aye paani se dar gaye hain

Ye teer jitny fiza me aa kr
theher gye hain
Ksi parinday ki
be'zubani se dar gaye hain

Inhain b darya me apni kashti utarna thi
Jo log lehron ki
sir'giraani se dar gaye hain

Ye hum jo shehr-e-wafa me
gumsum khary hoe hain
Phr ik taza ghalat'bayani se
dar gye hain

Abi to dil ko udas krti nahi hain shamain
Abi se Q gham ki hukum'raani se dar gye hain

Humain b sahil pe geet likhna thy
seepiyon se
Mgr hawaon ki meher'baani se dar gye hain