Dosron ko hamari sazaain na dy
Chandni raat ko
bad'duaain na dy

Phol se aashqi ka hunar seekh ly
Titliyan khud rukain gi
sadaain na dy

Sab gunahon ka iqrar krny lgain
Is qadar khobsorat sazain na dy

Motiyon ko chupa seepiyon ki trah
Be'wafaon ko apni wafain na dy

Main bikhar jaon ga
ansoun ki trah
Is qadar pyar se bad'duain na dy