Sabi ashk ankhon me aa gye
na chupa sky
na bata sky
Wo jo bhaid tha wo khul gya
koi baat b na chupa sky

Na wafa rahi
na jafa rahi
na wo dil raha
na hum rahy
Uski yaad ka jo chiragh tha
na jala sky
na bujha sky

Koi zoor khud pe raha nahi
koi bas b us pe chala nahi
Usy dekhte rahy door tak
mgr hath tak na hila sky

Nahi is me uski khata koi
na naseeb ka koi dosh tha
Ye hamara apna mizaj tha
k kisi trah na nibha sky