Nazar me zulmat
badan me thandak
jamaal kitna ajeeb sa tha
Main uski chahat me ghar se nikla
to haal kitna ajeeb sa tha

Na main ne usko khatoot likhy
na us ne meri panah chahi
Dono ko apni be'khudi pe
malal kitna ajeeb sa tha

Wo apni raton me chand dekhe
main apni raton me us ko sochon
Bdalty lamhon me sochta hon
visaal kitna
ajeeb sa tha

Safar akele hi kaat lo gy
yeh main ne pocha
to ro diya "Wo"
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha..