Dard barh kr khud dawa ho jaye
to hum kya krain...
chara'gar hum se khafa
ho jaye to hum kya krain...

ain mumkin tha k hum b
gham se pa jaty nijaat
dil mgr gham aashna
ho jaye to hum kya krain...

hum zaban se kuch kahain
to aap ka shikwa bajaa
koi anso lab'kusha
ho jaye to hum kya krain...

apni janib se to ki
hum ne hamesha ehteyaat
phr b bhooly se khata
ho jaye to hum kya krain...

hum saza k mustahik hoty
to koi gham na tha
be'khata
hukm-e-saza
ho jaye to hum kya krain...

zulm se hum darr gye
ye tum se kis ne keh diya
zulm kanoonan rawa
ho jaye to hum kya krain...

mazrat krny ko hum kr lain
mgr kis jurm ki..??
be'sabab koi khafa
ho jaye to hum kya krain...

bewafa keh kr tumhain
hum khud b pachtaaye mgr
be'rukhi had se sawa
ho jaye to hum kya krain...