sab k dil hasas hain
pathar nahi hota koi
such to ye hy k ranj ka
kho'gar nahi hota koi
bar'ha aisy manazir se
guzarti hai nazar
jab andheron k siwa
manzar nahi hota koi
jany ho jaty hain taari
kis trah asbaab pr
saaye...jinka apna hi
paykar nahi hota koi
be'dili se choorti hain
arzo'ain dil sa ghar
apni marzi se kabi
be'ghar nahi hota koi
ya to sab mujh se bary hain
ya to main hon sab se bara
meri mehfil me mera
hum'sir nahi hoota koi
mujh ko meri justajo
ly jati hy aksr wahan
jis jaga mere siwa
aksr nahi hota koi
Shaad in be'simt soochon
ko bhatakny de yonhi
Shaairy me fikr ka
mehwar nahi hota koi...
pathar nahi hota koi
such to ye hy k ranj ka
kho'gar nahi hota koi
bar'ha aisy manazir se
guzarti hai nazar
jab andheron k siwa
manzar nahi hota koi
jany ho jaty hain taari
kis trah asbaab pr
saaye...jinka apna hi
paykar nahi hota koi
be'dili se choorti hain
arzo'ain dil sa ghar
apni marzi se kabi
be'ghar nahi hota koi
ya to sab mujh se bary hain
ya to main hon sab se bara
meri mehfil me mera
hum'sir nahi hoota koi
mujh ko meri justajo
ly jati hy aksr wahan
jis jaga mere siwa
aksr nahi hota koi
Shaad in be'simt soochon
ko bhatakny de yonhi
Shaairy me fikr ka
mehwar nahi hota koi...