Aainy pr
kabi kitaab me hain
uski ankhain ajab azab me hain

thakty phrty hain dhoop me bachy
titliyan saya-e-gulab me hain

ek kachy ghary ki jurat pr
kitni tughyaaniyan chanaab me hain

wo abi tak hy ro-ba-ro apne
hum abi tak hisaar-e-khwab me hain

uski aadat hy roothna Mohsin
Log be'waja iztarab me hain