chiragh-e-raah bujha kya
k rah'numa b gya
hawa k sath musafir ka
naksh-e-paa b gya

main phool chunti rahi
or mujhe khabar na hoi
wo shakhs aa k mere shehr se chala b gya

bohat aziz sahi usko meri dil'dari
mgr ye hy k kabi dil mera dukha b gya

ab un dareechon pe
gehre dabeez pardy hain
wo taak jhaank ka masoom silsila b gya

sab aye meri ayadat ko
wo b aya
jo sab gye to mera dard aashna b gya

ye ghurbatain meri ankhon me kesi utri hain
k khwab b mere rukhsat hain
rat'jaga b gya