Sundar komal sapno ki
barat guzar gai jana
Dhoop aNkho tak aa puhaNchi
hy raat guzar gai jana

Bhor samy tak jis ne humaiN
baaham uljhaye rakha
Wo albeli resham jesi
baat guzar gai jana

Sadaa ki dekhi raat humaiN
is baar mili to chupky se
Khaali hath pe rakh k kya
soghaat guzar gai jana

Kis koNpal ki aas me ab tak
wese hi sar'sabz ho tum
Ab to dhop ka mausam hy
barsat guzar gai jana

Log na jany kin ratoN ki
muradaiN maaNga krty haiN
Apni raat to wo jo tere
sath guzar gai janaaN