Tere siwa b mujhe koi yaad aany wala tha
MaiN wrna yoN hijr se
kab ghabrany wala tha

Jan bojh kr
soch samajh kr
maiN ne bhula diya
Hr wo Qisa
jo dil ko behlany wala tha

Mujhko nadamat bs is pr hy
Hum log bohat khush haiN
Is lamha ko kho kr maiN pachtany wala tha

Ye to khair hoi darya ne rukh tabdeel kiya
Mera shehr b uski zad me aany wala tha

Ek ek kr k sab rasty kitny sunsan hoe
Yaad aya maiN lamby safar pr jany wala tha