gila nahi tujh se
jo tu dikhai na de
wo tergi hy k kuch b mujhe sujhaai na de

bhula de ae mere ghar ki udas raat mujhe
k wehshat-e-sar-e-sehra mujhe rehaai na de

tere wisaal ki subho ka rang kya hoga?
ye soochny ki faraghat
shab-e-judai na

tera wajood agr hy
to ab nakab utha
main thak gya hon
mujhe zakhm-e-na'rasai na de

main jhoot bol raha hon
k mutabar thehron
jo sach kahon to zamana meri safai na de

ragon se khoon jo phooty
to koi khat likhon
k meri ankh to likhne ko roshnai na de

meri zaban pe
teri maslihat k pehre hain
mere khuda mujhe
ilzam-e-be'nawai na de

koi b dushman-e-jan ho mujhe qabool mgr
main apne misar ka YOUSAF hon
mujhe bhai na de

sakoot-e-dasht ki haibat hy
ya khamoshi-e-marg
khud apni cheekh b Mohsin mujhe sunai na de