Azal Se Hy Mohabbat Maawra
Lafzo`n Ki Maala
Mgr Ye B Haqeeqat Hai
Mohabbat Soch K Aakaash Pr
Baadal Ki Soorat Me
Sada Parwaz Krti Hai
Kabi Baarish Ki Boondon Me
Simat Kr Dil Ki Dharti Pr
Utarti Hai,,,
Bikharti Hai
Ada Ly Kr SaBa Se Ye
Gulabon Se Mehak Ly Kr
Dhanak Se Rang Ly Kr or
Sitaaron Se Chamak Ly Kr
Haseen Aanchal Banati Hai
Isi Aanchal Se Phr Khuwabon
K Kachy Rang Sajati Hai
Mohabbat Aazmati Hai

Kabi Ye Shayr Ban Kr
Lafz Ki Hurmat Barhati Hai
Kabi Ye Saaz Ban Kr
Dheery Dheery Gungunati Hai
Sarapa Aankh Ban Jati Hai
Ye Mehboob Ko Paa Kr
Anokha Lams Ban Jati Hai
Koo-e-Yaar Me Ja Kr
Na'jany Kon Sa Mantar
Ye Parh Kr Holy Holy Se
Ksi Ki Band Palkon Me
Bina Dastak Dye Yakdum
Utar K Ghar Banati Hai
Mohabbat Muskurati Hai

Ye Khushbu Hai
Hamesha Phool Ki Saanson Me Hoti Hy
Bana Dy Chaand Teri Shab Ko Jo
Ye Aisa Moti Hai
Kasak Hai Daaimi Is Me
Buhat BeNaam Lazzat Hai
Mohabbat Ki Yehi Tareef Hai
K Mohabbat Hai
Mohabbat Ka Tumhein Idraak Ab To Ho Gya Hoga
Ye Jo Zakhm Deti Hai
Kabhi Sehnay Nahi Deti
Mohabbat Rooth Jaye To
Kabhi Jeenay Nahi Deti