hawas to hy k bulandi pe tera ghar dekhon
nazar uthaaon to apne shikasta per dekhon

tere kareeb sahi...muztarib hy dil kitna
hawa ki chaap jo ubhry to so-e-darr dekhon
...
kisi trah ye tanhaiyon ka karb katy
bala se apne hi saye ko humsafar dekhon

kuch is lye b andheron ne dass liya mujhko
mujhe ye shook tha
rang-e-rukh-e-seher dekhon

wo lams wehem hi sahi
us se dil to behlaaon
wo jism khwab sahi
usko umr bhar dekhon

main lut chuka
mere rah'zan b gum hoe lekin
ye kesa khoof hy phr b idhar udhar dekhon

hawa-e-sham-e-safar
ye safar kahan ka hy
k hr qadam pe nya rang-e-rah'guzar dekhon

faraz-e-arsh nahi gar to
shaakh-e-daar sahi
kisi trah to bulandi pr apna ser dekhon

ganwa diya unhain
ab unki yaad Q aye
main doston se ye rishta b toor kr dekhon

dhuwan dhuwan meri saansain hain
zakhm zakhm badan
khyal tha kabi ikhlas-e-chara'gar dekhon