koi chehra hua roshan
na ujaagar aNkhain
aaina dekh rahi thi
meri pathar aNkhain

ly uri vaqt ki aaNdhi
jinhain apne humraah
aaj phr DhoNDh rahi hain
vohii manzar aNkhain

phooT niklin to kai shehr-e-tamana Dooby
ek qatry ko tarasti hui
banjar aNkhain

usko dekha hy to ab shooq ka vo aalam hy
apne halkon se nikal aai hain
bahir aNkhain

tu nigahon ki zubaN Khoob samajhta ho ga
teri janib to uTha krti hain
aksr aNkhain

log marty na dar-o-baam se Takra k kabi
dekh lete jo 'Kamaal'
uski samundar aNkhain