Fiza Ka Habs
Shagoofon ko baas kya dy ga?
badan dareeda
ksi ko libas kya dy ga?
ye dil k qeht-e-anaa se ghareeb thehra hy
meri zuban ko zar-e-iltamas kya dy ga
jo dy ska na paharon ko barf ki chadar
wo meri banjh zameen ko kapas kya dy ga?
ye shehr
yon b to dehshat bhara nagar hy
yahan!
dilon ka shor
hawa ko haraas kya dy ga?
wo zakhm dy k mujhe hosla b deta hy
ab is se barh k
tabiyat shanas kya dy ga?
jo apni zaat se bahir aa na ska ab tak
wo pathron ko mata-e-hawaas kya dy ga?
wo mere ashk bujhaye ga kis trha mohsin?
samundaron ko wo sehra ki pyas kya dy ga?
Shagoofon ko baas kya dy ga?
badan dareeda
ksi ko libas kya dy ga?
ye dil k qeht-e-anaa se ghareeb thehra hy
meri zuban ko zar-e-iltamas kya dy ga
jo dy ska na paharon ko barf ki chadar
wo meri banjh zameen ko kapas kya dy ga?
ye shehr
yon b to dehshat bhara nagar hy
yahan!
dilon ka shor
hawa ko haraas kya dy ga?
wo zakhm dy k mujhe hosla b deta hy
ab is se barh k
tabiyat shanas kya dy ga?
jo apni zaat se bahir aa na ska ab tak
wo pathron ko mata-e-hawaas kya dy ga?
wo mere ashk bujhaye ga kis trha mohsin?
samundaron ko wo sehra ki pyas kya dy ga?