gali koochon me barg-e-khushk ki sorat bikharna tha
hawa se dosti ka
koi to anjam aana tha

junon k shehr me lekin hamari haar thi lazim
idhar ik shaaira thi
us traf sara zamana tha

ye sari umr kis aashuftagi me rayegan kr di
usi ko yaad rakkha hy
jisy dil se bhulana tha

ajab wehshat ka aalam hy
samajh me kuch nahi aata
safar ki shab musafir ko
kahan khaima lgana tha

dye jo baam pr rakhy thy main ne
bujh gye sary
isi tareek shab me usko mere gaaun aana tha

wo jab ojhal hua to
hum b apne aap se choonky
usy aawaz deni thi
usy wapis bulana tha