Mujh se bichr k mujh ko rula kr udas tha
Meri trah wo khud ko jala kr udas tha

Aisy ajeeb dard k pehre thy chaar su
Ab k wo mere shehr me aa kr udas tha

Mujh ko b uski yaad satati rahi bohat
Wo B diyar-e-ghair me ja kr udas tha

Mere ilawa b hy koi us ka shehr me
Itni si baat mujh ko bata kr udas tha

Usko udas kr gai beety dino ki yaad
Guzri rafaqaton ko ganwa kr udas tha