Jo mosam beet jata hy dobara Q nahi aata
kahin se lout kr bachpan hamara Q nahin aata

yahan aany ko to hr din ksi k sath aata hy
jese is dil ne reh reh kr pukara Q nahi aata

wo jis ki lo mohabbat ki jabeen ka is trah thi
to phr rasty me hamary wo roshan sitara Q nahi aata

kabi phele hoe peron se jb kirnain jhalakty hain
tasawur me un ankho ka ishara Q nahi aata

bhatakta phr raha hon din k is wiran jangal me
mehkti sham ka rangeen kinara Q nahi aata