wo tasv'vur jo akele me hasata tha kabi
wo ek shakhs
khayalo me jo aata tha kabi

jis k aany se hawao se mehek uth'ti thi
wo jo chalta hua
saba ko jalata tha kabi

jis ki hansi ne gulon ko b saleeqa bakhsha
jo tehelta hua
lehro ko sikhata tha kabi

saary taaron ki chamak maand kye deta tha
wo jo palkon ko
nazakat se uthata tha kabi

ab k dushwar hai kyon uska tasvvur krna
jiska chehra
meri yadon ko sajata tha kabi