Muhabbat seekh k karna

K bin seekhy muhabbat ka
safar dushwar hota hai
Girybaan taar hota hai
Kabi inkar hota hai
kabi Iqrar hota hai

Muhabbat seekh k krna

K bin seekhy muhabbat to
sarabon ki kahani hai
Dukhon ki raj-dhani hai
Jo kal ban jaye ga Badal
Ye Darya ka wo pani hai

Muhabbat seekh k krna

K bin seekhy muhabbat to
azab-e-zindagi thehri
Shrab-e-zindagi thehri
Na ho takmeel jis ki wo
kitab-e-zindagi thehri

MUHABBAT SEEKH K KRNA...!