Simat’ta hi nahi aisa safar hai
Muhabbat b bohat lamba safar hai

Jahan had-e-nazar tak rasty hon
Ksi pr kya khuly 
kitna safar hai

Zara dushwaar to ho gi muhabbat
Abi is dasht me pehla safar hai

Chalo kuch door mera sath hi do
Phir us k bad to
tanha safar hai
 
Tayi’yun hi nahi manzil ka koi
Hamain dar’pesh anjana safar hai

Safar kuch or b hai kefiyat ka
Tumhara wasl to aadha safar hai..