Barish thi
hum thy
or ghani ho rahi thi sham
tum ne liya tha kaanpty honton se mera naam


main ne kaha tha
aao yonhi bheegty chalain
in raaston me dair talak ghoomty chalain


meri Qamar me hath ye pholon sa daal kr
kaandy pe mere rakhy raho
yonhi apna sir


hathon ko main kabi
kabi baalon ko choom lon
dekho meri taraf to main ankhon ko choom lon


pani k ye jo phol hain rukh pr khily hoe
in me dhanak k rang hain
saary ghuly hoe


hont se inko chunty rahain
khush-dili k sath
taary humain talash krain chaandni k sath


yonhi kisi darakht k neeche khary rahain
Barish k dair bad b lipty khary rahain


tum ne kaha tha
aao chalain
raat aa gai
dil jis se darr raha tha wohi baat aa gai


beety samy ki ki yaad hi raston me reh na jaye
ye dil kahin wisaal ki baarish me beh na jaye


kuch dair ek chup si rahi darmiyaan me
girhain si jese parny lgi hon zabaan me


yak'dam gira tha phool koi shaakhsaar se
dekha tha tum ne meri traf iztarar se


baarish me bheegty hoe jhoonky hawa k thy
wo chand be'gumaan se lamhy balaa k thy


nasha sa ek chaaron traf phelta gya
phr us k bad main ne tumhain kuch nahi kaha