Tu bana k phir se bigaar de
Mujhe Chaak se na Utaarna
rahon Kooza'gar tere saamny
Mujhe Chaak se na Utaarna

teri choob-e-jaak ki gardishain
mere aab-o-gil me utar gai
meri paaon doori se kaat k
mujhe chaak se na utaarna

teri ungliyan mere jism me
yonhi lams ban k gari rahain
kaf-e-kooza'gar meri maan ly
Mujhe Chaak se na Utaarna

Mujhe rukta dekh k qarb me
kahin wo b raqs na choor de
kisi gard'baad k saamny
Mujhe Chaak se na Utaarna

tere sang-e-pe narm hy
meri khaak-e-namm...
isy choota reh
kisi ek shakal me shaal k
Mujhe Chaak se na Utaarna

mujhe goondhny me jo gum hoe
tere hath..
unka bdal kahan
kabi dast-e-ghair k waasty
Mujhe Chaak se na Utaarna

tera geela hath jo hat gya
mere bheege bheege wajood se
mujhe dhaanp lena hy aag ne
Mujhe Chaak se na Utaarna....