Mohabbat is tarah bhejo
Ke jaise phool pe titli utarti hai
Hawa main dotli, par tolti titli
Larazti, kapkapati, pankhriyon ko piyar karti hai
To har patti nikharti hai
Mohabbat is tarah bhejo
Ke jaise caahr soo khushboo bikharti hai
Mohabbat is tarah bhejo
Ke jaise khwab ata hai
Jo aata hai to darwazey pe dastak tak nahi hoti
Bohar sarshar lamhey ki, madhur chup main
Kisi hilkorey leti aankh ki khatir
Kisi be-taab se milney, koi be-taab ata hai
Mohabbat is tarah bhejo
Ke jaise jheel main mehtaab ata hai

(Saud Usmani)