ترا نصیب بنوں تیری چاھتوں میں رھوں
تمام عمر محبت کی وحشتوں میں رھوں

خمار ِحسرت ِدیدار میں رھوں ھر دم
سواد ِعشق ! یونہی تیری شدتوں میں رھوں

یہ زندگی کی حرارت ترے سبب سے ھے
میں لمحہ لمحہ جنوں کی تمازتوں میں رھوں

یہ اھتمام ِشب و روز ھو مری خاطر
ترے خیال کی رنگین خلوتوں میں رھوں

سنوارتی ہیں سدا جس کی چاھتیں مجھ کو
مری دعا ھے میں اُسکی ہی حسرتوں میں رھوں

اے ابر ِ وصل برس اور کُھل کے مجھ پہ برس
میں بھیگی بھیگی ھوا کی شرارتوں میں رھوں

شریک ِشوق ِ سفر ھے اگر وہ میرا ناز
میں کیوں نہ موسم ِگل کی بشارتوں میں رھوں

ناز بٹ

-----------------------------------------------------

Tera Naseeb Banoon Teri Chahaton Main Rahoon
Tamam Umr Mohabbat Ki Wehshaton Main Rahoon

Khumar-e-Hasrat-e-Deedaar Main Rahoon Har Dam
Sawad-e-Ishq! Younhi Teri Shiddaton Main Rahoon

Yeh Zindagi Ki Hararat Tere Sabab Se Hai
Main Lamha Lamha Junoon Ki Tamazaton Main Rahoon

Yeh Ehtemam-e-Shab-o-Roz Ho Meri Khaatir
Tere Khayal Ki Rangeen Khilwaton Main Rahoon

Sanwarti Hain Sada Jis Ki chahatain Mujh Ko
Meri Dua Hai Main Us Ki Hi Hasraton Main Rahoon

Aye Abr-e-Wasl Baras aur Khul Ke Mujh Pe Baras
Main Bheegi Bheegi Hawa Ki Shararton Main Rahoon

Shareek-e-Shoq-e-Safar Hai Agar Woh Mera NAZ
Main Kyun Na Mausam-e-Gul Ki Bashaarton Main Rahoon

Naz Butt