Jhonkaa Edhar Na Aaye Naseem-e-Bahaar kaa
Naazuk Bohot Hai Phool Charaagh-e-Mazaar ka,

Pher Baithe Baithe Waadaa-e-Wasl Us Ne kar Liyaa
Pher Uth kharaa Howaa Wohi Rog Intazaar kaa,

ShaaKhon Se Barg-e-Gul Nahi Jharte Hain Baagh Mein
Zewar Utaar Rahaa Hai Uroos-e-Bahaar kaa,

Har Gul Se Lalazaar Mein Yeh Poochta Hoon Main
Tu Hi Pataa Bataade Dil-e-Daaghdaar kaa,

Is Piyaar Se Fishaar Diyaa Gor-e-Tang Ne
Yaad Aagaya Mazaa Mujhe Aaghosh-e-Yaar kaa,

Hilati Nahi Hawaa Se Chaman Mein Yeh Daaliyaan
Munh Chuumte Hain Phool Uroos-e-Bahaar kaa,

Uthta Hai Nazaa Mein Woh Sarhaane Se Aye "Ameer"
Mitataa Hai Aasraa Dil-e-Umeedwaar kaa.