Wo aasman ko gawah keh kr
mukar gya tha
k uski chahaton ka charhta daria utar gya tha

tarashta tha jo pathron ko
aqeedaton se
wo shakhs aaj khud
reza reza bikhar gya tha

ab aany waly tamam mosam hain qurbaton k
k apne hissy ka zard mosam
guzar gya tha

ajeeb sunsaan raasty thy
khandar pary thy
ye chaand kesi duain ly kr
udhar gya tha

mohabbaton ka dhani bohat tha mizaj uska
k us se mil kr
mera muqaddar sanwer gya tha