MaiN ne aaghaz se anjaam-e-safar jana hai
Sab ko do-chaar qadam chal k theher jana hai

Gham wo sehra-e-tamanna k bagooly ki trah
Jis ko manzil na mili
us ko bikhar jana hai

Teri nazroN me mere dard ki qeemat kya thi
Mere daaman ne to
anso ko gohar jana hai

Ab k bichRy to na pehchaan skaiN gy chehre
Meri chahat tere pindaar ko mar jana hai

Jany waly ko na roko
k bharam reh jaye
Tum pukaro b to kab usko theher jana hai

Taiz sooraj me chaly aaty haiN meri janib
DostoN ne mujhe sehra ka shajar jana hai

Zindagi ko b tere darr se bhikari ki trah
ek pal k lye rukna hai
guzar jana hai

Apni afsurda mizaji ka bura ho k Faraz
Waqiya koi b ho
ankh ko bhar jana hai