kitne mosam sir'gardaan thy
mujh se hath milaany me
main ne shaayd dair lga di
khud se bahir aany me

ek nigah ka sanata hy
ek awaz ka banjar-pan
main kitna tanha betha hon
kurbat k veerany me

bistar se karwat ka rishta
toot gya ek yaad k sath
khwab ser'haany se uth betha
takiye ki sir'kaany me

aaj us phool ki khshbo mujh me
pay'hum shoor machaati hy
jis ne be'had ujlat barti
khilne or murhaane me

baat banany waali ratain
rung nikhaarny waly din
kin raston pr choor aya main
umr ka sath nibhaane me

ek malal ki gard samete
main ne khud ko paar kiya
kese kese wasl guzry
hijr ka zakhm chupane me

jitne dukh thy
jitni umeedain
sab se barabar kaam liya
main ne apne aainda ki
ek tasweer banany me

ek wazaahat k lamhe me
mujh pr ye ehwaal khula
kitni mushkil pesh aati hy
apna haal batany me

pehle dil ko aas dila kr
beparwa ho jata tha
ab to Azm bikhar jata hon
main khud ko behlaane me