Dil se mat rooth mere
dekha manaa ly usko
kho na jaye kahin
seene se lga ly usko

tha musafir
usy manzil ki traf jana tha
is lye kr diya
raasty k hawaaly usko

muddaton wajd me rehte hoe
deewane ko
hosh aya hy to
hr baat suna ly usko

kis lye ab shab-e-tareek se ghabrati ho
khud hi jab bakhsh diye
saary ujaaly usko

kuch zaroori to nahi
aap ko sab mil jaye
jo mily kijiye
daaman k hawaaly usko

neelgon jheel me hy
chaand ka saya larzaan
moj-e-saakat b koi aye
sambhaaly usko

apne be'simt bhatakty hoe naina ki kasam
kitne khush'bakht hain
sab dekhne waaly usko