Kalaam krti b nahi
bolti b jati hy
teri nazar ko
ye kesi zaban aati hy

kabi kabi mujhe pehchaanti nahi wo ankh
kabi caragh se
chaaron traf jalati hy

ajab tazaad me palti hy
tere wasl ki aas
k ek bujhaati hy
ek lagaati hy

wo dekhti hy mujhe
aisi mast nazron se
mere laho me koi aag ser'sarati hy

ye chaar su ka andhera
simatny lgta hy
kuch is trah teri awaz jagmagati hy

ye koi or nahi
aag hy ye andar ki
badan ki raat me jo roshni bujhaati hy

main usko dekhta rehta hon raat dhalny tk
jo chaandni
teri galiyon se ho kr aati

ye roshni b ataa hy teri muhabbat ki
jo meri rooh k manzar mujhe dikhaati hy

umeed-e-wasl b amjad
hy kaanch ki choori
k pehen;ny me kai baar toot jaati hy