Bheegi January phr looti hy
wohi galitan
wohi koochy
wohi sardi ka mosam hy
Isi Andaz se apna nizam-e-zeest barham hy
Ye husn-e-itefaq aisa
k nikhri chandni b hy
Wohi bheer hy sochon ki
wohi tanhaiyan phr se
musafir ajnbi
or dasht ki tanhaiyan phr se
Mujhe yaad hy
kuch saal pehle ka ye qisa hy
Wohi lamha to veerany ka
ik aabad hisa hy
Wo zinda raat ki tanhai me
sargoshiyan ki thi
ksi ki narm guftari ne
dil ko thapkiyan di thi
Ksi ne meri tanhai ka sara karb banta tha
Ksi ne raat ki chunri me
roshan Chaand taanka tha
Mere shairon me wo ilham ki sorat me utra tha
Mani bun k jo lafzon me
pehli baar dharka tha
Wo jis k hony se zindgi nagma'saraai hy
usy Khna..!
K Bheegi Janury phr loot iaa hy...