sundar komal sapno ki
barat guzar gai jana
dhoop ankhon tak aa pohanchi hy
raat guzar gai jana

bohat samy tak jis ne humain

ba'hum uljaahye rakha
wo albeli
resham jesi
baat guzar gai jana

sada ki dekhi raat humain

is baar mili to chupky se
khaali hath pe rakh k kya
soghaat guzar gai jana

kis koonpal ki aas me ab tak

wese hi sar'sabz ho tum
ab to dhoop ka masam hy
barsat guzar gai jana

log na'jany kin raton ki

muraadain maanga krty hain
apni raat to wo jo
tere sath guzar gai jana