bar'ha bitchry thy lekin
yon tujhe khoya na tha
ab to wo kaata hy hum ne
jo kabi boya na tha

khwab wo dekha k jo khwabon me basta tha kabi
raat yon soya hon jese
umr bhar soya na tha

khul k rony se b dill ka
bojh kab halka hua
taiz barish ne b tere
naqsh ko dhoya na tha

wo b din thy naam mera
wird-e-jan tha
or ab
be'rukhi aisi
ta'luq hi kabi goya na tha

ye achanak bethe bethe
kya hua AAZAR tujhe
is se pehle to kabi
tu is trha roya na tha