‘Joan’
guzasht-E-waqt ki
halat-E-haal pr salam
Us k firaQ ko dua
us k visal pr salam

Tera sitam b tha karam
tera karam b tha sitam
Bandagi teri teGh ko!!
or teri dhaal pr salam

Sood-O-zyaaN k farq ka
ab nahi hum se wasta
Subh ko arz-E-kornish!!
sham-E-malaal pr salam

Hijr-E-sawal k haiN din!!
hijr-E-jawab k haiN din
Us k jawab pr salam!!
apne sawal pr salam

Jany wo rang-E-masti-E-khwab-o-khyal kya hui?
Ishrat-E-khwaab ki sana!!
aish-E-khyal pr salam

Apna kamal tha ajab!!
apna zawal tha ajab!!
Apne kamal pr darood!!
apne zawal pr salam