Kahin Aarzo-e-Safar Nahi
Kahin Manzilon Ko Khabar Nahi
Kahin Rasta He Andhair Hy
Kahin Pa Nahi
Kahin Per Nahi
Mujhe Izterab Ki Chaah Thi
Mujhe Be'Kali Ki Talash Thi
Unhain Khwahishat K Jurm Me
Koi Ghar Nahi
Koi Dar Nahi
Koi Chaand Tooty Ya Dil Jaly
Ya Zameen Kahin Se Ubal Pary
Hum Aaseer Sorat-e-Haal Hain
Humain Hadsaat Ka Dar Nahi
Ae Hawa-e-Ghum
Zara Mere Sath Reh
Mere Sath Chal
Mere Sath Mere Qadam Nahi
Mere Sath Meri Nazar Nahi
Ye Umar Bhar Ki Riyaztain
Ye Nagar Nagar Ki Musaftain
Ye Rog Hain Maah-o-Saal K
Ye Gardishain Hain
Safar Nahi....
Kahin Manzilon Ko Khabar Nahi
Kahin Rasta He Andhair Hy
Kahin Pa Nahi
Kahin Per Nahi
Mujhe Izterab Ki Chaah Thi
Mujhe Be'Kali Ki Talash Thi
Unhain Khwahishat K Jurm Me
Koi Ghar Nahi
Koi Dar Nahi
Koi Chaand Tooty Ya Dil Jaly
Ya Zameen Kahin Se Ubal Pary
Hum Aaseer Sorat-e-Haal Hain
Humain Hadsaat Ka Dar Nahi
Ae Hawa-e-Ghum
Zara Mere Sath Reh
Mere Sath Chal
Mere Sath Mere Qadam Nahi
Mere Sath Meri Nazar Nahi
Ye Umar Bhar Ki Riyaztain
Ye Nagar Nagar Ki Musaftain
Ye Rog Hain Maah-o-Saal K
Ye Gardishain Hain
Safar Nahi....