wo yon mila k ba'zahir khafa khafa sa lga
wo dosron se mgr mujh ko
kuch juda sa lga

mizaj us ne na pocha
mgr salam liya
ye be'rukhi ka saleeqa b kuch bhala sa lga

wo jis ki kum'sukhni ko gharor samjha gya
meri nigah ko wo paikar-e-haya sa lga

main apne karb ki rodaad us se kya kehta
khud uska dil b mujhe
kuch dukha dukha sa lga

ghubaar-e-waqt ne kuch yon bdal dye chehre
khud apna shehr b mujh ko
nya nya sa lga

ghuti ghuti si lgi raat anjuman ki fiza
chiragh jo b jala
kuch bujha bujha sa lga

jo hum pe guzri hy shayd sabi pe guzri hy
fasana jo b suna
kuch suna suna sa lga

main ghar se chal k akela
yahan tak aya hon
jo hum'safar b mila
kuch thaka thaka sa lga

kuch is kholoos se us ne kaha mujhe Iqbal
khud apna naam b mujh ko
bohat bara sa lga...