Hoti Hy Tere Naam Se Wehshat Kabi Kabi
Barham Hoi Hy Yon B Tabiyat Kabi Kabi

Ae Dil Kisy Naseeb Ye Tofeeq-e-Iztarab
Milti Hy Zindagi Me Ye Rahat Kabi Kabi

Tere Karam Se Ae Aalam-e-Husn Afreen
Dil Ban Gya Hy Dost Ki Khalwat Kabi Kabi

Josh-e-Janon Me Dard Ki Tugh'yaniyon K Sath
Ashqon Me Dhal Gai Hy Teri Sorat Kabi Kabi

Tere Qareeb Reh K B Dil Mutmaeen Na Tha
Guzri Hy Mujh Py Ye Qyamat Kabi Kabi

Kuch Apna Hosh Tha
Na Tumhara Khyal Tha
Yon B Guzar Gai Hy Shab-e-Furqat Kabi Kabi

Ae Dost Hum Ne Tark-e-Mohabbat K Ba'Wajood
Mehsos Ki Hy Teri Zarorat Kabi Kabi