Gham-e-firaq se pehle
shab-e-visal k bad
Hy or kya jisy dekhain tere jamal k bad

Tamam umr kati intezar me apni
Koi b dukh na mila phr
tere malal k bad

Jawab mil gya mujh ko teri khamoshi ka
Tumhare lafz jo khoye
mere sawal k bad

Tumare mere ta'luq pe yun khizan chahi
Koi uroj nahi hy jese
is zawal k bad

Main teri yaad k chehre ko dhaanp don lekin
Bachy ga kya meri jholi me
is kamal k bad

wo ab k baar mila is qdar takaluf sy
K kuch na poch ska us se
us k haal k bad