Milta b hy to apni ik khaas ada se
Wo shakhs jo darta hy bohat naam-e-wafa se

Boly to ik khushbo se aati hy dahan se
Hr saana jese us k milti hy saba se

ilfaz ka talatum
baton ka wo behr
Pholon ki patiyan hain k lab hain wo bala se

Dekha jo chandni me sar-e-aashyan usy
Lgta tha qamar rosahan hy uski zya se

Mehtab b kehta tha mehtab sa usy
Kal shab wo nikla tha zeenat me kada se

Mah-para
mah-paiker
mah-e-tamam
Ye sb he isti’aary hain us ki waja se