Ankh barsi hai tere naam pe saawan ki trah
Jism sulga hai teri yaad me
eindhan ki trah

Looriyaan di hain kisi qurb ki khwahish ne mujhe
Kuch jawani k b din guzry hain
bachpan ki trah

Is bulandi se mujhe tu ne nawaza Q tha..?
Gir k main toot gya
kaanch k bartan ki trah

Mujh se milty hoe ye baat to soochi hoti
Main tere Dil me sama jaon ga
dharkan ki trah