Bujhny lag jain
to phir shammaiN jala di jaiN
Meri ankhaiN
mere dushman ko laga di jaiN

Be-hunr log kahaN
harf ki sachai kahaN
Ab kitabain ksi darya me baha di jain

Unki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai
Ye shabeehaiN
sar-e-Aaina ganwa di jaiN

Ab bicharny ka saleeqa hai
na milny ka hunar
Ishq me tuh'mataiN aaiN to bhula di jaiN

Ya to khursheed chamakta rahy peshaani me
Ya lakeeraiN mere maathy ki mita di jaiN

Kitni bholi hui batain hamain aaj uski
Yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN...