Jab kabi khud ko ye samjhaon
k tu mera nahi
Mujh me koi cheekh uthta hy
nahi
aisa nahi

Kab nikalta hy koi
dil me utar jaany k baad
Is gali ki doosri jaanib
koi rastaa nahi

Tum samajhty ho
bichar jany se mitt jata hy ishq
Tum ko is darya ki gehraai ka andaza nahi

Yon tarashoon ga ghazal main
tere paikar k naqoosh
Wo b dekhe ga tujhe
  jis ne tujhe dekha nahi

Un se mil kr b kahan mitt'ta hy
dil ka iztaraab
Ishq ki deewar k dono taraf
saya nahi