Usy kuch log kehte hain
Bohat be-his si larki hai

Sadaa khamosh rehti hai
Bohat kam muskurati hai

Nami ankho me rakhti hai
Bohat sochon me rehti hai

Basi ankhon me veerani
Chupi chehre pe hairani

Agr koi jo poochy
Jawabi baat keh kar... Phr

Yonhi khamosh rehti hai
Bari be-his si larki hai

Khud he me gum he rehti hai
Ye kuch maghroor larki hai

Ye batain sun kr us larki ko
Phir kuch yaad aata hy...

Kabi ye log kehte hain
Bohat chanchal si larki hai

Hamesha muskurati hai
Or aksar gun-gunati hai

Chamakta chand sa chehra
Khanakta shookh sa lehja

Diye jalty hain ankho me
Bari shokhi hy baton me

Fizaain dekh kr isko
Khushi se jhoom jati hain

Chamakti raat us k nain me
Sapny jagaati hain

Tamaazat dhoop ki chehre pe us k
Gul khilati hai

Kabi barish k mosam me
Suhaany khel kashti k

Kabi guriyon ki shadi ho
Kabi geeton ki bazi ho

Her dam pesh rehti hai
Bari ul'larh si larki hai

Ye kitni shokh larki hai..?

Mgr ab log kehte hain
Ajab be-his si larki hai

Bohat kam muskurati hai
Sadaa khamosh rehti hai

Unhain maloom kese ho..?
Wafa k qaid khany me

Faraiz k nibhaany me
Jo larki daar charhti hai

Jisy sapno k bun'ny ki
sazaain waqt ne di hon
Jo rasmon or riwajon k
alao me sulagti ho

Labon ki nook pr jis k
Galy be-jaan hoty hon

Jism ki qaid me...
Jab rooh aksar phar-pharati ho

To ek kamzor si larki
Yonhi be-mout marti hai

To phir yon log kehte hain...

Bohat sanjeedgi oorhy...
Ajab be-his si larki hai

Bohat kam muskurati hai
Sada khamosh rehti hai...