Na jany keh gye kya aap muskurany me
hai dil ko naaz k jan aa gai fasany me

na aa saki koi shy teri yaad per ghalib
tujhi se lon ga madad ab 
tujhe bhulany me

na'jany banti hai sajdon ki dastaan Q-kr
kashish jabeen me hai ya tere aastany me

khabar b hai tujhe
kis kis nazar ki betaabi
hoi hai sarf 
tabassum tera banaany me

hai bhool jaany ki koshish b yaad ka rk naam
main kamyab kahan hon tujhe bhulany me

tere hi zouq-e-karam k ye kaam aain gi
adaain sarf na kar 
mujh ko azmaany me

khizaan se mangon ga ab daagh-e-dil ki shadabi
bahar-e-baagh to hai 
mah-o-gul khilaany me

maaf kr kabi Perwez ko na Ae gham-e-dost
k ro diya ye aksar ghazal sunany me