bicharna hy to khushi se bichro
sawal kese
javab choro
mili hain jahan ki khushiyan tumhain to
mily hain kis ko azaab choro

nye safar pe jo chal pary ho
mujhe khabar hy k khush bary ho
hy kon ujra tumhare peechy
ya kis k tooty hain khwab choro

muhabbaton k tamaam waady
nibhaaye kis ne
bhulaye kis ne
tumhain pashemani ho gi jana
jo meri maano
hisaab choro

mili ho muddat k bad jana
to kesa shikwa
gila b kesa
tumhain mila hy sakoon kitna
hoa main kitna kharab choro

dukhi dilon ki pukar sun'na
bana lo MOHSIN amal ye apna
hy is me tum ko gunah kitna
mily ga kitna sawab choro